Header Ads

Memory card Repair karna


Memory Card Repair kaise karte hain


Friends aajkal ke phone me Internal storage jyada hote huye bhi hume External storage ki jarurat pad ja rahi hai kyuki jitney bhi videos aur photos hai sb HD me hi store karte hai .Isliye memory card ki bhi jarurat padti hai .
                Kabhi kabhi kisi virus ke wajah se hmara memory card corrupt ho Jata hai .Aur jab usko Format karte hai toh wo format bhi nahi hota hai .Iss tarah se hmara data bhi nahi mil pata hai jo bahut jyada important hota hai . Toh Memory card ke iss tarah ke errors ko dur karne ke liye mai aapko methods bta raha hu jisko use karke aap apna memory card recover ya repair kar skte hai .
Corrupted Memory Card Ko Repair Karne ke Liye Steps:
#Step1:- Sabse pahle apna memory card ko card reader ki help se computer me insert kare.
#Step2:- Ab aap “computer” (icon) ko open kijiye .
#Step3:- Iss step ke baad aap apna memory card ka drive letter dekhiye aur usko yaad kar lijiye .Jaise mere computer me memory card ka drive letter “I” hai.
#Step4:- Ab aap “Start Button+R” press karke RUN box open kar lijiye.
#Step5:- Fir uss RUN dialog box me aap “CMD” type kijiye aur “ENTER” kar dijiye.
#Step6:-CMD open hone ke baad image me dikhaye gaye letter ko type kijiye .Dhyan rahe aapko apne memory card ka drive letter type karna hai .

        Type:- “ FORMAT I:/FS:FAT32/x “

Maine apna drive letter “I” likha hai .Aapko iske jagah par apna drive letter likhna hai .



#Step6:- Type karne ke baad aapko “Enter” press karna hai .
#Step7. Iske baad apka memory card format hone lagega .
Iss tarah se aapka corrupted memory card repair ho jayega.

   अगर आपको रिपेयर करने में कोई प्रॉब्लम हो रही हो तो आप कमेंट बाक्स में कमेंट कर के मुझे बता सकते है .मैं आपकी हेल्प करने की पूरी कोशिश करूँगा. और अगर आपको कुछ और जानना है तो भी आप बता सकते है

कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.